Tasvir zindagi ke
Click Here to Read
'Tasweer Jindgi ke'
Manoj Bhawuk was awarded as a Bhartiya Bhasha
Parishad samman by filmkar shri Guljar & Thumri
Maestro smt. Girija Devi ji.
              Bhojpuri Sahitya ko Bharatiya Bhasha parishad samman

Bharatiya Bhasha parishad, Kolkata dwara aayojit  yuva mahotsav me Bhojpuri
ke charchit wa lokpriya yuva  kavi Manoj Bhawuk ko unake bhojpuri Gazal
sangarah TASVIR ZINDGI KE  ke liye   Bharatiya Bhasha parishad Samman se
navaja gaya.
Manoj Bhawuk ko yah samman Thumari Samragyi smt. Girija devi aur Cine jagat
ke nami geetkar - Filmkar Shree Guljar dwara sanyukt roop se pradan kiya gaya.
Mr. Bhawuk ke rachanaao par tippari karte huye   Bharatiya Bhasha parishad ke
mantri Dr. Kusum Khemani ne kaha ki " Manoj Bhawuk sudur Uganda aur ab
London me rahate hue Bhojpuri me srijanrat ak aise kavi hai jinaki kavitaee
paudhe ki tarah lok jivan ki dharati par panapi hai aur apana jivan ras wahi se
prapt karati hai. jan-jivan, prakriti panchtatwa, mukti sangharsh aur samyik
sarokaro ko aap Bhojpuri ke theth muhavaro me mukharit karate hai. sabad aur
arath, roop aur kathya ki ananya akata ko pratibimbit karati aapki kavitayee lok -
jeevan ki aabhyantarik lay se por- por  sijhi hui hai. bikhandan ya tanav me lay hi
kavita ko bachati hai aur bare pathak varg ke najdik lati hai. Manoj chhand ka
chunav saralata ke pralobhan se nahi karte. chhand aapko kavi karm ki
kathinayeeyo ki sadhana me sakriya aur jivant rkhta hai.  Bharatiya Bhasha
parishad aapko sammanit karate hue garvanvit hai".

bakaual Bhawuk " darasal yah bhojpuri bhasha aur sahitya ka samman hai. sath
hi yah un karoro bhojpuri bhashiyo ka bhi samman hai, jo desh videsh me rahate
hue Bhojpuri ke ujjawal bhavisya ki kamana karate hai. yah samman unka bhi hai
jinhone kisi n kisi roop me mere rachanakar ka nirman kiya hai. mai sabhi ka
shukragujar hoo"
pahali bar Bhojpuri sahitya ko yah samman mila hai.

 Bhojpuriduniya Shri Manoj ji ke Puraskar Milale par Badhaee det  ba.Umeed
karte hai ki shri Manoj ji ehi Tarah se aage bhi Prayas jaree Rakhenge aur samast
Bhojpuri premi logan ke sir Garv se ooncha karenge.
Satish Yadav

editor@bhojpuriduniya.com
Back

Anjoria.com

Courtecy :-